Tohfa-e-Nikaah Part - 15

Waleema Ki Daawat Sunnat Hai

Kisi insaan ko munaasib rishta mil jaana aur nikaah ka ho Jaana; yaqeenan Allah Ta'ala ki ek badi ne'mat aur khushi ki baat hai, is liye is ne'mat par Allah ka shukr aur apni khushi ka izhaar hona chaahiye, isi maqsad se waleema ko sunnat qaraar diya gaya hai. Hazrat Anas (Raz) bayaan karte hain Nabi-e-Kareem ﷺ ne Hazrat Abdul Rahman bin Auf (Raz) (ke jism ya kapde) par (zaafraan ka) zard nishaan dekha, to un se poochha ke yeh kya hai? unhon ne kaha ke main ne ek aurat se shaadi kar Ii hai aur khajoor ki ek guthli ke wazan ke baraabar sona us ka maher muqarrar kiya hai. Aap ﷺ ne farmaaya: Allah tumhein mubaarak kare, waleema ki daawat karo, agarche ek bakri hi zabah karke sahi!. Daawate waleema mein sirf maaldaar logon ko hi bulaana aur un hi ko daawat dena bahot bura hai, balke is daawat mein gareeb logon ko bhi shareek karna chaahiye.

Hazrat Abu Huraira (Raz) se riwaayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Us waleema ka khaana bahot bura hai jis mein sirf ameeron ko bulaaya jaaye aur zarooratmand gareebon ko chhod diya jaye. (Bukhari: 5177)

Share on: Telegram | WhatsApp