Tohfa-e-Nikaah Part - 16

Maher Biwi Ka Haq Hai Jis Ko Khushdili Se Ada karna Allah Ka Hukm Hai

Islaam mein shohar ke zimme biwi ke kayi huqooq waajib kiye hain, jin mein se ek bada haq maher ada karna bhi hai,

Qur'aan mein Allah Ta'ala farmaata hai: Aur aurton ko un ke maher khushi se diya karo. (Sura-e-Nisa: 4)

Aur ek Hadees mein

Hazrat Aaisha (RA) farmaati hain ke mujhe Rasulullah ﷺ ne hidaayat di thi ke main aisi aurat ko us ke shohar ke hawaale na karoon ke jise apne maher mein se kuch bhi na mila ho. (Mo'jame Sageer: 108)

Is ke alaawa aur bhi kayi Aahaadees hain, jin mein Nabi-e-Kareem ﷺ ne maher ada karne ki taakeed farmaayi hai; lihaaza jin shoharon ne abhi tak apni biwiyon ko maher ada nahein kiya hai, woh jald se jald use ada karne ki koshish karein, aur maher ke silsile mein buri niyyat se bachein kyun ke ek Hadees mein

Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis shakhs ne kisi aurat se nikaah kiya, maher bhi mut'ayyan kiya lekin dil mein ada karne ki niyyat nahein hai to woh zaani hai. (Sunan-e-Kubra Baihaqi: 14782, Abu Huraira (RA))

Is Hadees mein kitni sakht waeed bayaan ki gayi hai, is liye maher ke silsile mein hamaari niyyat saaf suthri honi chaahiye, aur Allah ka hukm samjh kar use ada karna chaahiye.

Share on: Telegram | WhatsApp