Tohfa-e-Nikaah Part - 17

Shohar Ka Darja

Shohar ka biwi par kitna haq hai, is ka andaaza Huzoor ﷺ ke is irshaad se lagaaya ja sakta hai ke

Aap ﷺ ne farmaaya: Agar main kisi ko kisi makhlooq ke liye sajde ka hukm karta, to aurat ko hukm deta ke woh apne shohar ko sajda kare. (Tirmizi: 1159)

Insaan sajda usi ko karta hai jo bada azeemushshaan aur buzrug wa bartar hota hai, Allah ke alaawa kisi ko sajda karna choonke naajaaiz aur haraam hai, isi liye Aap ﷺ ne biwiyon ko sajde ka hukm to nahein diya, magar Aap ﷺ ka yeh andaaz saaf bata raha hai ke aurat par kisi ke nikaah mein aa jaane aur us ki biwi ban jaane ki wajah se Allah ke baad sab se bada haq us ke shohar ka ho jaata hai, use chaahiye ke us ki farmaanbardaari mein koi kami na kare. Kisi ke haq ko bayaan karne ke liye is se ziyaada muassir aur koi andaaz nahein ho sakta, jo is Hadees mein Rasulullah ﷺ ne shoharon ke huqooq bayaan karne ke liye ikhtiyaar kiya hai.

Share on: Telegram | WhatsApp