Tohfa-e-Nikaah Part - 18

Bachche Ki Paidaaish Ke Waqt Kaan Mein Azaan Wa Iqaamat Kehna Sunnat Hai

Aulaad chaahe ladka ho ya ladki : Allah ki ek azeem ne'mat aur bahot qeemti tohfa hai, is par Allah ka shukr ada karna chaahiye, lihaaza jab kisi ke yahaan bachcheki paidaaish ho, to us ko chaahiye ke bachche ke daayein kaan mein azaan aur baayein kaan mein iqaamat kahe. Chunaanche

Hazrat Hasan (RA) jab paida huwe, to Allah ke Nabi ﷺ ne un ke daayein kaan mein azaan aur baayein kaan mein iqaamat kahi thi. (Sho'bulimaan: 8620)

Ek doosri Hadees mein

Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Jis ke yahaan bachche ki paidaaish ho, to woh bachche ke daayein kaan mein azaan aur baayein kaan mein iqaamat kahe, (aisa karne se) bachcha ummus sibyaan naami bimaari se mehfooz ho jaata hai. (Sho'bulimaan : 8619)

Ummussibyaan bachchon ki ek qism ki bimaari hai, jo mirgi ki tarah hoti hai.

Share on: Telegram | WhatsApp