Tohfa-e-Nikaah Part - 19

Bachche Ki Taraf Se Aqeeqa Karna Sunnat Hai

Allah ke Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Har bachcha apne aqeeqa ke ewaz rahan hai (yaani aafaton se us ki salaamati aqeeqa karne par mouqqoof hai, lihaaza paidaaish ke) saatwein din us ki taraf se jaanwar zabah kiya jaye, usi roz us ka naam rakha jaye aur us ka sar moonda jaye. (Abu Dawud: 2838)

Hazrat Ali (Raz) farmaate hain ke Nabi-e-kareem (ﷺ) ne Hasan (Raz) ki taraf se aqeeqa mein ek bakri zabah ki aur farmaaya: Aye Faatma! is ke baal utarwaa do aur baalon ka wazan karke utni hi chaandi khairaat kardo. Hazrat Ali (Raz) kahte hain ke main ne un baalon ko wazan kiya to ek dirham ya us se kuch kam ke baraabar huwe (us ke baraabar chaandi sadqa kar di gayi). (Tirmizi: 1519)

Aqeeqa karne se bachcha balaaon aur aafaton se mehfooz ho jaata hai, Aqeeqe ka gosht rishtedaaron, padosiyon aur gareebon mein taqseem karne se un sab ki duaayein bachche ko milti hain, un ke dilon mein bachche ke liye mohabbat paida hoti hai, ek doosre se raabta hota hai, bhaichaargi ka paighaam milta hai; lihaaza ham Logon ko bhi apne bachchon ka aqeeqa karna chaahiye.

Share on: Telegram | WhatsApp