Tohfa-e-Nikaah Part - 21

Nikaah; Fitri Khawaahish Poori Karne Ka Aasaan Raasta Hai

Islam na to jinsi taskeen ke liye mard wa aurat ke darmiyaan kisi bhi tarah ke na jaaiz wa haraam ta'alluq ki ijaazat deta hai aur na hi jinsi taskeen ke jazbe ko sire se mana karta hai, balke apni iffat wa paakdaamni ki hifaazat aur tawaalud wa tanaasul ke liye Islam insaan ko ek darmiyaani raah apnaane (yaani nikaah karne) ka hukm deta hai, taake us ki iffat wa ismat bhi mehfooz rahe aur naslon ka silsila bhi chalta rahe.

Allah Ta'ala irshaad farmaate hain: Us ki (Allah ki qudrat ki) nishaaniyon mein se ek nishaani yeh bhi hai ke Us ne tumhaare liye tum hi mein se biwiyaan paida kein, taake tum un ke paas jaakar sukoon haasil karo aur tumhaare darmiyaan muhabbat aur rahmat paida kardi. (Sura-e-Room: 21)

Share on: Telegram | WhatsApp