Tohfa-e-Nikaah Part - 23

Gaane Aur Music Sunne Se Zameen Mein Dhansne Aur Pattharon Ki Baarish Ke Azaab Mein Mubtala Ho Sakte Hain

Aaj kal music aur gaana itna aam ho gaya hai ke koi mehfil aur khushi ka mauqa gaane aur music se khaali nahein hota, us ke bagair to saara maza pheeka samjha jaata hai. Shaadi biyaah mein bhi yahi haal hai, naach gaane aur music ke bagair shaadi ko na mukammal aur adhoora samjha jaata hai, haalaanke yahi cheez Allah ki naaraazgi aur gusse ka sabab hai. Ek hadees mein

Rasulullah ﷺ ne gunaah ke bahot se kaam zikr kiye aur us ki wajah se sakht tareen azaab ki waeed sunaayi, un me se kuch gunaah yeh bhi bataaye ke log apni biwi ki farmaanbardaari karein aur apni maa ki naafarmaani karein aur doston ko qareeb karein aur baap ko door karein, gaane waaliyaan aur gaane baaje aam ho jaayein, sharaabein pi jaayein to us waqt surkh aandhiyon, zalzalon, zameen mein dhansaaye jaane, shaklein bigaad diye jaane aur patthar barasne ka intizaar karo aur doosri nishaaniyon ka intizaar karo, jo is tarah pe darpe aayeingi, jaise koi haar kaat diya jaai aur us ke daane pe darpe girein. (Tirmizi: 2211)

Share on: Telegram | WhatsApp