Tohfa-e-Nikaah Part - 24

Biwi Ke Saath Achchha Bartaao Karne Waala Sab Se Achchha Insaan Aur Kaamil Mo'min Hai

Insaan apne akhlaaq ki wajah se achchha ya bura hota hai, jin ke akhlaaq achchhe honge, woh shareef aur achchha insaan kehlaayega aur jin ke akhlaaq bure hoonge to woh bura aadmi kehlaayega, har aadmi ka apni biwi ke saath zindagi mein ziyaada waasta padta hai, is liye jab aadmi apni biwi ke saath achchha bartaao karta hai to yeh is baat ki daleel hai ke woh achchhe akhlaaq waala aadmi hai. Yahi wajah hai ke

Aap ﷺ ne farmaaya: Tum mein sab se behtareen woh log hain jo apni biwiyon ke saath achchha bartaao karte hain. (Tirmizi: 1162)

Ek hadees mein Rasulullah ﷺ ne farmaaya: "Musalmaanon mein sab se kaamil imaan waala woh hai, jis ke akhlaaq achchhe hoon aur biwi bachchon aur doosre ghar waalon ke saath lutf wa muhabbat ka muaamla karta ho. (Tirmizi: 2612)

Share on: Telegram | WhatsApp