Tohfa-e-Nikaah Part - 25

Shohar Ko Biwi Ke Kaamon Mein Bhi Haath Bataana Chaahiye

Shohar par biwi ke bade ehsaanaat hain, woh 9 maheene us ke bachche ko pet mein rakhti hai phir takleef ke saath us ke bachche ko janam deti hai aur phir paida hone ke baad us ke bachche ko doodh pilaati hai aur tarbiyat karti hai, ghar ke kaamon ko anjaam deti hai aur shohar ke maal wa asbaab ki nigraani karti hai, us ke alaawa aur bhi doosre kaam karti hai, lihaaza shohar ko us ke kaamon mein bhi haath bataana chaahiye, hamaare Nabi ﷺ bhi ghar ke kaam kar liya karte the; chunaanche

Hazrat Urwa (RA) ne Ummul Mo'mineen Hazrat Aaisha (RA) se poochha ke jab Rasulullah ﷺ aap ke yahaan tashreef farma hote, to kya kaam karte the? to Hazrat Aaisha (RA) ne jawaab diya ke Aap ﷺ apne kapde khud si lete aur apna joota durust kar lete the aur doosre woh tamaam kaam karte the, jo kaam doosre log apne gharon mein karte hain. (Musnade Ahmed: 24903)

Share on: Telegram | WhatsApp