Tohfa-e-Nikaah Part - 26

Shohar Ko Khush Rakhne Ka Badla Jannat Hai

Jis Hadees mein kisi khaas amal par jannat ki khush khabri di jaaye, to us ka matlab yeh hota hai ke yeh amal Allah ko mehboob hai, us ka sila jannat hai aur us ka karne wala jannati hai, chunaanche ek Hadees mein

Hazrat Umme Salma (RA) se riwaayat ke Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Jo aurat is haalat mein duniya se jaaye ke us ka shohar us se raazi aur khush ho to woh jannat mein jaayegi. (Tirmizi: 1161)

Ek doosri riwaayat mein

Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Aurat jab paancho waqt ki namaaz padhe, Ramzaan ke roze rakhe, apni izzat wa aabru ki hifaazat kare aur shohar ki farmaanbardaar rahe, to phir (use haq hai ke) woh jannat ke jis darwaaze se chaahe, daakhil ho jaye. (Hilyatul auliya li Abu Nuaim: 1104)

Is Hadees mein khaas taur se yeh baat yaad rakhne ke qaabil hai ke is mein biwi ke liye shohar ki itaa'at ko namaaz, roza aur zina se hifaazat ke saath zikr kiya gaya hai, is mein is baat ki taraf ishaara hai ke shari'at ki nigaah mein jis tarah in arkaan wa faraaiz ko ada karna ahem hai, aise hi shohar ki farmaanbardaari karna aur us ke saath achchhe akhlaaq se pesh aana bhi ahem hai.

Share on: Telegram | WhatsApp