Tohfa-e-Nikaah Part - 27

Bachchon Ki Deeni Wa Akhlaaqi Tarbiyat karna; Waalidain Ki Sab Se Badi Zimmedaari Hai

lslaam ne maa baap par bachchon ke ta'alluq se jo zimmedaariyaan daali hain, un mein sab se badi zimmedaari yeh hai ke un ki deeni taaleem wa tarbiyat ki fikr karein, yeh bahot hi ahem zimmedaari hai, jis mein zara si gaflat bachche ke mustaqbil ke liye bade khatre ki baat ho sakti hai. Is baare mein waalidain ne agar bachche ki deeni taaleem wa tarbiyat mein gaflat ki aur us ke nateeje mein bachcha bad deen aur bad akhlaaq ho gaya, to waalidain is ke zimmedaar hai aur us ka gunah un hi ko hoga aur aakhirat mein is baare mein un se sawaal hoga. Lihaaza is silsile mein khaas fikr aur tawajjoh ki zaroorat hai, isi deeni taaleem wa tarbiyat ki ehmiyat ke peshe nazar

Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Apne bachchon ko zabaan kholne ke baad sab se pehle kalima "Laa Ilaaha Illallaah" kahelwaao. (Sho'bul Imaan : 8649)

Is Hadees se maaloom huwa ke sab se pehle bachchon ko tauheed yaani Allah Ta'ala ke ek hone ki taaleem dena zaroori hai phir aahista aahista Islaam ki doosri bunyaadi baatein sikhaayi jaayein, agar shuru hi se is tarah tarbiyat hogi, to bada hone ke baad un ki tarbiyat aur aasaan ho jaayegi.

Hazrat Abdullah bin Abbas (Raz) kehte hain ke Huzoor ﷺ se Sahaaba-e-Kiraam (Raz) ne poochha ke ya Rasulullah! yeh to hamein maaloom hai ke aulaad par baap ke kya huqooq hain, magar khud baap par aulaad ke kya huqooq hain? Aap ne farmaaya: Un par haq yeh hai ke bachche ka achchha naam rakhe aur un ki achchhi tarbiyat kare. (Sho'bul Imaan: 8658)

Aur ek riwaayat me hai ke jab woh baalig ho jaaye to us ki shaadi karaade, us ki shaadi nahi karaayi aur woh gunaah me mubtala ho gaya to us ka gunaah baap par hoga. (Sho'bul Imaan: 8666) 

Tirmizi shareef mein ek riwaayat hai: Rasulullah ﷺ ne farmaaya: kisi baap ne apni aulaad ko achchhe aadaab sikhaane se behtar koi tohfa nahein diya. (Tirmizi: 1952)

Ibne Maaja mein ek Hadees hai: Hazrat Anas (RA) se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Apni aulaad ka ikraam karo (yaani un ko amaanat samajh kar un ki qadr karo aur un ko bojh na samjho) aur un ko achchha adab seekhaao. (Ibne Maaja: 3671)

Share on: Telegram | WhatsApp