Tohfa-e-Nikaah Part - 28

Saas Wa Khusr Ka Adab Wa Ehtiraam Karo

Saas aur khusr ka adab har haal mein apne waalidain ki tarah karo, har waqt un ko khush rakhne ki koshish karo chaahe tum ko takleef ho ya raahat, un ki marzi ke khilaaf ek qadam bhi na chalo. Zubaan se koi aisa lafz mat nikaalo jis se un ko takleef ho. Jab un se koi baat karo, to aise alfaaz istemaal karo jo buzurgon ke liye istemaal kiye jaate hain, saas tum ko agar kisi muaamle mein tambih kare to khaamoshi se sun lo. Palat kar jawaab na do, agar koi kaam karne ke liye doosre se kahe to tum aage badh kar use anjaam de do. Khusr ko jab khitaab karna ho, to is tarah mukhaatab karo jaise apne buzurgon ko khitaab karti ho. Jahaan tak ho sake un ke aaraam wa raahat ki koshish karti raho, kisi zaroorat se baahar jaana ho, to apne shohar ya khusr ya saas se ijaazat le kar jaao, ijaazat dein to jaao, warna mat jaao. Shohar ko bhi chaahiye ke apne khusr wa saas ka adab wa ehtiraam kare, un ka khayaal rakhe aur un ko apne maa baap ki tarah samjhe.

Share on: Telegram | WhatsApp