Tohfa-e-Nikaah Part - 29

Ghar Ke Kaam Khud Karein

Rasulullah ﷺ ki nek biwiyaan aur paakiza betiyaan aur sahaabiyaat gharelu kaamon ko mukammal taur par anjaam deti thein aur apne shoharon ke gharon ki raani ban kar izzat ki zindagi guzaarti thein. Un ki zindagi tamaam aurton ke liye namoona hai, is liye har aurat ko un ki zindagiyon ka mut'aala karna chaahiye aur un ki raah par chalne waali khaandaan ki badi boodhi aurton se ghar chalaane ka fan seekhna chaahiye. Hazrat Faatima (RA) jo Rasoole khuda ﷺ ki pyaari beti aur jannat ki aurton ki sardaar hain. Hamesha ghar ke kaam kaaj apne haath se kartein aur kabhi ghar ki chaar deewaari ko unhon ne apne liye tang na samjha, na gharelu kaamon mein kabhi zillat mehsoos ki, mubaarak haathon se chakki peestein, mashak se paani bhar kar laatein, ghar mein jhaadu detain aur khaana tayyaar kartein, lihaaza aurtein apne ghar ke kaam anjaam dein.

Share on: Telegram | WhatsApp