Tohfa-e-Nikaah Part - 30

Nikaah A'lal Elaan Masjid Mein Karna Masnoon Hai, Aur 2 Gawaahon Ka Hona Waajib Hai

Nikaah se pehle behtar hai ke ladka aur ladki ya un ke ghar waale ek doosre ko dekh lein, taake is naye rishte par har ek ko itminaan rahe, nikaah chori chhupe nahein karna chaahiye, balke us ka elaan hona chaahiye, isi liye masjid mein nikaah karna sunnat hai, taake basti ya muhalle ke ziyaada se ziyaada log is ko jaan jaayein.

Huzoor ﷺ ne farmaaya: Is nikaah ka elaan karo aur nikaah masjid mein karo. (Tirmizi: 1089)

Nikaah se pehle khutba dena bhi masnoon hai, us ke baad ladka ya ladki 2 gawaahon ki maujoodgi mein nikaah ka ijaab wa qabool karlein. Isi tarah nikaah gawaahon ki maujoodgi mein hona zaroori hai, gawaahi ke liye chaahe 2 mard hoon ya 1 mard aur 2 aurtein.

Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Jo aurtein apna nikaah gawaah ke bagair (chori chhupe) kar lein woh zina karne waali hain. (Tirmizi: 1103)

Share on: Telegram | WhatsApp