Tohfa-e-Nikaah Part - 31

Halki Phulki Cheezon Se Bhi Waleeme Ki Daawat Ho Sakti Hai

Waleeme ke liye zaroori nahein hai ke kisi badi daawat ka intizaam kiya jaye, balke mukhtasar aur halki phulki cheezon se bhi waleeme ki sunnat poori ho sakti hai, chunaanche

Hazrat Anas Raziyallahu Anhu kahte hain ke Rasulullah ﷺ ne apni kisi biwi ke nikaah par aisa waleema nahein kiya jaisa ke Hazrat Zainab binte Jahash (Raziyallahu Anha) ke nikaah ke mauqe par kiya, poori ek bakri zabah karke waleema kiya. (Bukhari: 5168)

Matlab yeh hai ke Aap ﷺ ne apni biwi Hazrat Zainab binte Jahash (Raziyallahu Anha) ke nikaah par ek poori bakri zabah kar ke nikaah kiya, magar doosri biwiyon ke nikaah par Aap ﷺ ne is se bhi mukhtasar aur halke taur par waleema kiya. Chunaanche riwaayaton mein aata hai ke baaz biwiyon ke nikaah par sirf 2 sair Jau mein waleema kar diya aur baaz ke nikaah par chand khajoorein aur kuch paneer aur makkhan par waleema kiya. Is se ham andaaza laga sakte hain ke waleema ki daawat sunnat to hai magar is daawat ka intizaam bhi bahot aasaan hai.

Share on: Telegram | WhatsApp