Tohfa-e-Nikaah Part - 32

Biwi Ki Achchhaiyon Ko Hamesha Apne Saamne Rakhna Chaahiye

Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Aurat ko pasli se paida kiya gaya hai, aur woh tujh se kabhi seedhi nahi chal sakti; lihaaza agar tu us ke andar tedhaapan hote huwe us se faaida uthaana chaahta hai to uthaale aur agar tune use seedha karne ki koshish ki, to tu use tod dega aur us ka todna talaaq hai. (Muslim: 3643)

Is Hadees se maaloom huwa ke aurat ki fitrat mein qudrati taur par tedhaapan hota hai, is liye kabhi us se koi kotaahi aur chook ho gayi to use nazarandaaz karna chaahiye aur us ko kosne ke bajaaye us ki achchhaiyon aur khoobiyon ko saamne rakh kar hansi khooshi zindagi guzaarni chaahiye.

Share on: Telegram | WhatsApp