Tohfa-e-Nikaah Part - 34

Jaaiz Kaamon Mein Shohar Ki Farmaabardaari Karna Waajib Hai

Biwi par sab se pehla haq shohar ka hai, is liye har jaayez kaam mein us ki itaa'at aur farmaabardaari karna zaroori hai. Qur'aan wa Hadees ne mukhtatif andaaz mein shohar ke is haq ko waazeh farmaaya hai, chunaanche

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Agar koi shohar apni biwi ko hukm de ke woh laal pahaad se kaale pahaad par aur kaale pahaad se laal pahaad par (patthar) muntaqil kare to biwi ko aisa karna chaahiye. (Ibne Maaja: 1852)

Doosri Hadees mein Nabiye Kareem ﷺ ka irshaad hai: Aurat jab paanchon waqt ki namaaz padhe aur Ramzaan ke roze rakhe aur apni sharmgaah ki hifaazat kare aur apne shohar ki itaa'at kare, to woh jannat ke darwaazon mein se jis darwaaze se chaahe daakhil ho jaye. (Majmauz zawaaid: 7635)

Share on: Telegram | WhatsApp