Tohfa-e-Nikaah Part - 35

Bachchon Ke Saamne Apna Amli Namoona Pesh Keejiye

Bachche nafsiyaati taur par apne maa baap ke taur tareeqe, un ke akhlaaq wa aadaat aur un ke aamaal wa kirdaar se bahot kuch seekh sakte hain, woh agar nek kaam kareinge, to bachche nek kaam seekheinge aur agar woh bure kaam kareinge, to bachche buraai karna seekheinge. Misaal ke taur par ek jhoot hi ko le lijiye, ham agar jhoot boleinge, to hamaare bachche bhi jhoot bolna seekheinge. Aksar aisa hota hai ke ham bachche ko behlaane aur phuslaane ke liye apne qareeb bulaate hain aur mahaz jhoot bol kar us ko kuch dene ka ishaara karte hain, haalaanke kuch dene ka iraada nahein hota, yeh bhi jhoot hai, is se bachna chaahiye.

Hazrat Abdullah bin Aamir (Raz) kehte hain ke ek din Rasoolullah ﷺ hamaare ghar tashreef farma the, meri waalida ne mujhe bulaaya aur kaha: Yahaan aa mein tujhe ek cheez doongi. Aap ﷺ ne farmaaya: Tum use kya dena chaahti ho? Waalida ne kaha: Main us ko khajoor dena chaahti hoon. Aap ﷺ ne farmaaya: Agar tum us ko kuch na detein, to tumhaare aamaal naame mein ek jhoot likha jaata. (Abu Dawood: 4991)

Share on: Telegram | WhatsApp