Tohfa-e-Nikaah Part - 36

Bachchon Ke Akhlaaq Shuru Hi Se Durust Karne Ki Koshish Karein

Akhlaaq insaan ka zewar hai, Islaam ne akhlaaq par bahot ziyaada zor diya hai.
Ek hadees mein Aap ﷺ ka irshaad hai: Imaan waalon mein sab se kaamil Imaan waala woh shakhs hai jis ke akhlaaq sab se achchhe hon. (Tirmizi: 1162)

Neez ek Hadees mein Aap ﷺ ne farmaaya: Baap apne bachche ko jo cheezein tohfe mein deta hai, un mein sab se afzal tohfa achchha adab seekha dena hai. (Tirmizi: 1952)

Apne bachchon ki shuru hi se akhlaaqi tarbiyat karein, akhlaaq se mut'aalliq chhoti chhoti baatein un ko sikhaayein, misaal ke taur par kabhi gareebon ko kuch dena ho to kabhi kabhi bachchon ke haathon se dilwaayein, is se bachchon ke andar bhi gareebon ke ta'alluq se hamdardi paida hogi. Aur hamesha bure akhlaaq se unhein rokte rahein, is mein zarra baraabar kotaahi na karein, warna aage chal kar un ke akhlaaq ko durust karna bahot mushkil hoga.

Share on: Telegram | WhatsApp