Tohfa-e-Nikaah Part - 37

Sasuraal Waalon Ke Saath Pyaar Wa Muhabbat Se Rahein

Miyaan biwi ka rishta ek aisa rishta hai ke saari umar isi mein basar karna hai, agar donon ka dil mila huwa hai, to is se badh kar koi ne'mat nahein, is liye jahaan tak ho sake biwi apne shohar aur us ke ghar waalon ko khush rakhne ki koshish kare, jo kaam saas nandein karti hain, us ke karne se sharm wa aar na kare balke woh kaam un se lekar khud kare, agar sasuraal mein koi baat naagawaar aur buri lage to maaike mein aakar chugli na kare, sasuraal ki zara zara si baat aakar maa se kehna buri baat hai, is se aapas mein ladaai jhagde hote hain, jab tak saas sasur zinda rahein, un ki khidmat aur farmaabardaari ko apna akhlaaqi farz aur us mein apni izzat samajhna chaahiye aur shohar ko us ke maa baap se alag karne ki koshish nahein karna chaahiye, chhoton ke saath shafqat aur muhabbat aur badon ke saath izzat wa ehtiraam ka muaamla karna chaahiye. Nand, devraani, jethaani ke saath apni behnon ki tarah bartaao karo. Chhoti ho to chhoti behnon ki tarah bartaao karo. Jaisa bartaao un ke saath karogi waisa hi bartaao woh tumhaare saath kareingi. Aapas mein ek doosre ki buraai na karo. Kisi mein koi aib ya buraai dekho to doosre se us ka zikr na karo. Kisi ki buraai us ke peeth peechhe karna geebat hai aur geebat bahot bada gunaah hai. Geebat hi se aapas mein ladaai jhagde hote hain ke ham galat thodi keh rahi hain! Us mein woh buraai maujood hai, yaad rakho! geebat to naam hi isi ka hai ke kisi ki peeth peechhe us mein maujood buraai ka zikr kiya jaaye aur agar us mein buraai nahein hai aur phir ki jaaye to woh bohtaan hai aur yeh geebat se bhi bada gunah hai. Jo bachche bachchiyaan tumhaare khusar ki ya un ke qareebi rishtedaaron ki aulaad hoon, un ke saath nihaayat shafqat wa maherbaani se pesh aao. Jo tumhein padhna likhna aata ho woh un ko sikhaati raho, Is se bukhl na karo, Is se tumhaara dil bhi behlega aur un ko bhi padhna likhna aajaayega.

Share on: Telegram | WhatsApp