Tohfa-e-Nikaah Part - 38

Sab Log Ek Doosre Ke Huqooq Ada Karne Ki Koshish Karein

Islaam ne har shakhs par ek doosre ke kuch huqooq aur zimmedaariyaan rakhi hain, maslan: biwi par shohar ka haq hai, shohar par biwi ka haq hai, maan baap par aulaad ke huqooq hain, aulaad par waalidain ke huqooq hain wagaira. Har shakhs apne huqooq aur apni zimmedaariyon ko ada karne ki koshish kare, jab ham aisa karne lageinge, to phir ghar mein khud hi sukoon wa itminaan aur aaraam wa raahat ka maahaul banega.

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Yaad rakho tum mein se har ek zimmedaar hai aur tum se apni zimmedaari ke baare mein poochha jaayega, pas logon ka haakim zimmedaar hai aur us se us ki zimmedaari ke baare mein sawaal kiya jaayega, aadmi apne ghar waalon ka zimmedaar hai, is se un ke baare mein sawaal kiya jaayega, aurat apne shohar ke ghar aur us ki aulaad ki zimmedaar hai aur us se us ki zimmedaari ke baare mein poochha jaayega. Gulaam apne aaqa ke maal ka zimmedaar hai aur us se us ke baare mein sawaal hoga. To yaad rakho, tum mein se har ek zimmedaar hai aur us se us ki zimmedaari ke baare mein poochha jaayega. (Muslim: 4723)

Share on: Telegram | WhatsApp