Tohfa-e-Nikaah Part - 39

Nikaah Roohaani Taraqqi Mein Rukaawat Nahein Balke Roohaani Taraqqi Ka Ek Zariya Hai

Kuch mazhab waale yeh samajhte hain ke nikaah roohaani zindagi ki taraqqi mein zabardast rukaawat hai, is liye woh aurton se door reh kar zindagi guzaarte hain aur isi mein apni aakhirat ki kaamyaabi samajhte hain, islaam ne is khayaal ko bhi galat qaraar diya.

Bukhari shareef ki riwaayat hai ke ek martaba 3 sahaaba-e-kiraam Raziyallahu Anhum Huzoor ﷺ ki ibaadat ka haal maaloom karne Aap ﷺ ki azwaaje mutahharaat ke ghar tashreef laaye, jab un ko Aap ﷺ ki ibaadat ke mut'alliq bataaya gaya, to use un logon ne bahot kam samjha aur aapas mein kehne lage ke Huzoor ﷺ ke muqaable mein hamaari kya haisiyat hai? Aap ﷺ ke agle pichhle tamaam gunaah Allah ne maaf kar rakhe hain. Phir un mein se ek ne kaha ke main hamesha saari raat namaazein padhoonga. Doosre ne kaha main hamesha din mein roze rakha karoonga aur iftaar nahein karoonga. Teesre ne kaha: main aurton se alag rahoonga aur kabhi nikaah nahein karoonga, itne mein Huzoor ﷺ un ke paas tashreef le aaye (Aap ko poori baat bataayi gayi phir) Aap ﷺ ne un se poochha: Kya tum hi logon ne aisa aisa kaha hai? kaan khol kar sun lo Allah ki qasam! main tum sab logon se ziyaada Allah se darta hoon aur main tum sab logon se ziyaada parhezgaar hoon, (is ke bawajood) main roza bhi rakhta hoon aur iftaar bhi karta hoon, namaaz bhi padhta hoon aur sota bhi hoon aur nikaah bhi karta hoon. Suno! Jis ne mere raaste se hat kar zindagi guzaarne ka iraada kiya, woh ham mein se nahein. (Bukhari: 5063)

Is hadees se maaloom huwa ke nikaah taqwa wa parhezgaari, aakhirat ki kaamyaabi aur insaan ki roohaani taraqqi mein rukaawat nahein, balke woh bhi aala darje ki parhezgaari aur aakhirat ki kaamyaabi ka ek zariya hai.
Share on: Telegram | WhatsApp