Tohfa-e-Nikaah Part - 40

Maal Wa Daulat Ko Zaaye Aur Barbaad Karna Allah Ko Pasand Nahein Hai

Insaan yeh samajhta hai ke maal wa daulat yeh mahaz us ki mehnat ka nateeja hai, isi liye shaadi biyaah aur doosri taqreebaat mein dil khol kar fuzool kharchi karta hai, lekin yaad rakhiye ke insaan ka yeh khayaal galat hai, maal wa daulat ka milna mahaz Allah ka fazl-o-karam hai, woh jis ko chaahta hai bharpoor maal wa daulat se nawaaz deta hai, goya yeh maal wa daulat Allah ki taraf se us ke paas amaanat hai, isi liye fuzool kaamon mein maal udaana Allah ki ne'mat ki naaqadri bhi hai aur fuzool kharchi bhi aur Allah ko fuzool kharchi sakht na pasand hai.

Qur'aan-e-Kareem mein Allah Ta'ala farmaate hain: Yaad rakho ke Allah fuzool kharchi karne waalon ko pasand nahein karta. (Sura-e-A'raaf: 31)

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Allah Ta'ala ne tumhaare liye 3 cheezon ko naapasand kiya, qeel wa qaal (beja bahas wa mubaahasa) ko, maal zaaye karne ko, aur beja sawaalaat ko. (Bukhari: 1477)

Share on: Telegram | WhatsApp