Tohfa-e-Nikaah Part - 41

Khade Hokar Khaana Peena Bahot Bura Hai, Khaana Baith Kar Khaana Sunnat Hai

Aaj kal sab se ziyaada naapasandeeda aur makrooh tareeqa yeh chal pada hai, jo aksar shaadi biyaah ke mauqe par nazar aata hai ke khaane ke liye Buffet System rakha jaata hai, jis mein table wagaira par mukhtalif qism ke pakwaan saja diye jaate hain aur daawat mein aane waale log wahaan aakar khade khade balke chalte huwe khaate peete reahte hain aur isi ko fashion aur taraqqi ka zariya samajhte hain, isi tarah khade khade ya chalte huwe khaana darasal jaanwaron ka tareeqa tha, jis ko ab bahot se insaan bhi apna rahe hain, yeh saraasar Islaami tehzeeb ke khilaaf hai, is tareeqe ne to khaane peene ke baare mein shari'at ki jitni hidaayaat thein, sab ko kuchal kar rakh diya hai, Hadees mein khade khade khaane peene se bahot sakhti ke saath roka gaya hai.

Hazrat Anas Raziyallahu Anhu bayaan karte hain ke Rasulullah ﷺ ne khade ho kar paani peene se mana kiya hai, is par Hazrat Anas Raziyallahu Anhu ke shaagird Hazrat Qataada ne poochha ke khade ho kar khaana kaisa hai? Hazrat Anas Raziyallahu Anhu ne jawaab diya: "ذَلِكَ أَشَرُّ وَأَقْبَثْ" yaani khade hokar khaana, khade hokar peene ke muqaable mein aur bhi ziyaada bura aur ganda amal hai. (MusLim: 5275)

Neez Nabiye Kareem ﷺ ne farmaaya: Main is tarah khaata hoon jis tarah gulaam khaata hai aur is tareeqe se peeta hoon jis tarah gulaam peeta hai. (Kanzul Ummal: 40708)

Aur zaahir hai ke gulaam apne maalik ke saamne aise tareeqa par khaata peeta hai ke jis mein takabbur aur badaai ki thodi si bhi jhalak nazar nahein aati balke tawaazo paayi jaati hai aur yeh baith kar khaane se hi haasil ho sakti hai, isi liye Rasulullah ﷺ baith kar khaana khaate the, lihaaza maaloom huwa ke sunnat tareeqe ke mutaabiq baith kar khaana khaana shareefon ki aadat hai. is liye hamein bhi sunnat ki ittiba karte huwe baith kar khaana chaahiye.

Share on: Telegram | WhatsApp