Tohfa-e-Nikaah Part - 42

Shohar Par Biwi Ke Khaane, Rehne Aur Pahenne Ka Intizaam Karna Waajib Hai

Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke hajjatul wida ke mauqe par Nabiye Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Tum par biwiyon ka rizq aur un ka libaas achchhe tareeqe par waajib hai. (Muslim: 3009)

Hadees mein rizq aur libaas se muraad khaane peene, pahenne oudhne aur rehne ka intizaam karna hai; lihaaza shohar ki zimmedaari hai ke apni haisiyat ko saamne rakh kar biwi ke liye khaane peene, pahenne wodhne aur rehne ka intizaam kare aur kuch jaib kharch bhi us ko de, taake woh use apni zaroorat ki cheezon mein kharch kar sake. Qur'aan mein Allah Ta'ala ne shoharon ko yeh hukm diya hai ke woh apni wus'at ke mutaabiq biwiyon par kharch karein, chunaanche

Qur'aan mein hai: Har wus'at rakhne waala apni wus'at ke mutaabiq kharch de. (Sura-e-Talaaq: 7)

Share on: Telegram | WhatsApp