Tohfa-e-Nikaah Part - 43

Biwi Ki Deeni Taaleem Ka Intizaam Karna Zaroori Hai

Aaj ke maahaul aur mu'aashre mein education aur dunyawi taaleem ka riwaaj aam hai, shahar ho ya dihaat; koi jagah is se khaali nahein, lekin deeni taaleem ka aksar wa beshtar ilaaqon mein naam wa nishaan nahein hai, biwi ke saath saalon balke poori zindagi guzar jaati hai, lekin shohar us ki deeni taaleem ki taraf tawajjoh nahein deta, lihaaza shohar ki zimmedaari hai ke us ki deeni taaleem ka nazm kare, chunaanche

Allah ke Rasool ﷺ ne farmaaya: Teen log aise hain jin ko dohra sawaab milta hai, (un mein se) ek shakhs woh hai ke jis ke paas baandi ho aur woh use achchhe aadaab wa akhlaaq sikhaaye aur achchhi taaleem de phir use azaad karke us se nikaah kar le, to us ke liye do ajr hai. (Bukhari: 97)

Is Hadees se yeh maaloom huwa ke jab baandi ko taaleem dene par ajr wa sawaab hai, to biwi ko deeni taaleem dene par is se ziyaada sawaab milega, lihaaza ham apne apne gharon mein deeni taaLeem ka nazm karein.

Share on: Telegram | WhatsApp