Tohfa-e-Nikaah Part - 46

Ek Doosre Ki Galtiyon Ko Maaf Karne Ka Mizaaj Banaayein

Ghar mein sukoon ka maahaul banaane ke liye zaroori hai ke ghar mein aakar kisi se kuch chhoti moti galti ho jaye, to us ko maaf kardiya karein aur sab ke saath akhlaaq se pesh aayein, apne akhlaaq ko jaanchne ka asal me'yaar ghar hi hai.

Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Imaan waalon mein sab se kaamil Imaan waala woh shakhs hai jis ke akhlaaq sab se achchhe hon aur tum mein sab se achchhe log woh hain, jo apni biwiyon ke haq mein akhlaaq ke etibaar se sab se achchhe hoon. (Tirmizi: 1162)

Baat baat par gussa hona, daraana, dhamkaana Islaami akhlaaq ke bhi khilaaf hai aur is se gharwaalon mein bhi bagaawat aur chid chidaapan paida ho jaata hai aur ghar ka saara sukoon barbaad ho jaata hai.
Share on: Telegram | WhatsApp