Tohfa-e-Nikaah Part - 47

Maa Bachche Ko Baawazu Ho Kar Zikr Karte Huwe Doodh Pilaaye

Bachche ko paidaaish ke baad sab se pehli zaroorat maa ke doodh ki hoti hai, maa ka doodh bachche ko pilaana sirf bachche ke liye hi nahein balke khud maa ke liye bhi intihaayi faaidamand hota hai, is se maa sihatmand rehti hai aur saath hi is se bachche ke saath unsiyat paida hoti hai, maa ko is haq ki adaaigi mein kotaahi nahein karna chaahiye, apni zimmedaari balke apna farz samajh kar bachchon ko doodh pilaayein. Doodh pilaate waqt maa ko chaahiye ke woh baawazu ho, bismillaah padh kar pilaaye, doodh pilaate waqt zabaan se Allah Ta'ala ka zikr jaari rakhe aur dil wa dimaag ko paakiza aur saaf rakhe kyun ke us ki zabaan se nikle huwe alfaaz aur us ke dili jazbaat bachche par zaroor asar andaaz hote hain. Haan agar maa bimaar ho ya bahot kamzor ho aur us ka doodh bachche ko nuqsaan karta ho, to kisi aisi nek aur deendaar aurat ka intikhaab kare jis ka doodh bachche ke jism ke liye mufeed ho.

Share on: Telegram | WhatsApp