Tohfa-e-Nikaah Part - 48

Rasoolullah ﷺ Bachchon Ki Behtareen Tarbiyat Karte The

Rasoolullah ﷺ ke paas jo bachche rehte the, Aap ﷺ un ki bahot achchhi tarbiyat kiya karte, un ko achchhe akhlaaq sikhaate, un ki chhoti chhoti baaton par nazar rakhte, aur jo baat bhi galat nazar aati, us ki islaah kiya karte the.

Hazrat Umar bin Abi Salma Huzoor ﷺ ki parwarish mein the, ek martaba yeh Aap ﷺ ke saath khaana kha rahe the, islaami tareeqa yeh hai ke khaana apne saamne se khaaya jaaye, magar yeh idhar udhar se kha rahe the, jab Aap ne un ko dekha to toka aur kaha: Aye ladke Allah ka naam lekar khaao, apne daayein haath se khaao aur apne saamne se khaao. Hazrat Umar bin Abu Salma kehte hain ke us ke baad se main isi tareeqe par khaana khaata raha. (Bukhari: 5376)

Lihaaza ham bhi apne bachchon ki behtareen tarbiyat karein.

Share on: Telegram | WhatsApp