Tohfa-e-Nikaah Part - 49

Nikaah Mein Der Karne Ki Wajah Se Aulaad Gunaah Mein Mubtala Ho Gayi To Us Ka Gunaah Baap Par Hoga

Jab aulaad shaadi ki umar ko pahonch jaayein, to jald az jald un ki shaadi kar deni chaahiye, agar shaadi mein taakheer ki wajah se aulaad galat raaste par chal padi, to us ka gunaah baap ko hoga.

Ek Hadees mein Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis shakhs ke paas koi aulaad ho, to chaahiye ke woh us ka achchha naam rakhe aur use adab sikhaaye aur jab woh baalig ho jaaye to us ka nikaah kar de, agar aulaad baalig ho gayi aur us ka nikaah na kiya, jis ki wajah se woh gunaah mein mubtala ho gayi to us ka gunaah baap hi par hoga. (Sho'bul imaan: 8666)

Aaj jawaan ladke aur ladkiyon ki waqt par shaadi na hone ki wajah se mu'aashre mein tarah tarah ke gunaah aur badkaariyaan phail rahi hain, phir un ke gunaah aur badkaari mein mubtala hone ke baad maa baap un ko koste rehte hain, haalaanke aulaad ke gunaah mein mulawwis hone ke zimmedaar khud maa baap hi hain. Lihaaza har maa baap apne naujawaan bachchon ka nikaah jald az jald kara dein.
Share on: Telegram | WhatsApp