Tohfa-e-Nikaah Part - 53

Haraam Kaamon Se Apne Bachchon Ko Bachaayein

Shari'at ne jin cheezon ko haraam qaraar diya hai, un se apne bachchon ko bachaayein, jaise naach gaane, music wagaira, un ko sunne se hamesha mana karte rahein aur un ke saamne in cheezon ke dunya aur aakhirat ke zabardast nuqsaanaat ko samjhaayein aur un se nafrat dilaayein. Kyun ke bachpan mein jab in cheezon ki aadat pad jaati hai, to woh akheer umr tak baaqi rehti hai. Naach gaane aur music wagaira ke ta'alluq se

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Is ummat mein bhi zameen mein dhansaaye jaane, chehre bigaad diye jaane aur patthron ki baarish hone ka azaab naazil hoga, ek shakhs ne arz kiya: ya Rasoolallah! aisa kab hoga? Aap ne farmaaya: Jab gaane waaliyon aur gaane baaje ka riwaaj hoga aur sharaab pi jaayeingi. (Tirmizi: 2212)

Ek Hadees mein farmaaya: Allah ne mujh ko poori duniya ke liye rahmat aur haadi bana kar bheja hai aur mujhe gaane baaje aur music wagaira ko mitaane ka hukm diya hai. (Musnade Ahmed: 22307)

Kitni afsoos ki baat hai ke jin cheezon ko mitaane ka hukm Allah ne apne Nabi ko diya, ham raat din usi ko baja kar use badhaawa dete hain.

Share on: Telegram | WhatsApp