Tohfa-e-Nikaah Part - 55

Achchhe Maqsad Se Nikaah Karne Waale ki Allah Ta'ala Madad Farmaate Hain

Nikaah ka sab se bada maqsad insaan ki iffat wa ismat ki hifaazat karna hai, jo har insaan ke andar khwah mard ho ya aurat fitri taur par maujood hai, usi ki hifaazat ke liye Islaam ne Zina aur muta'lliqaate zina, maslan: bepardagi, besharmi ki baaton aur mard aur aurton ke ikhtilaat ko haraam qaraar diya aur mard aurat donon ko hukm diya ke woh donon nikaah hi ke zariya apna fitri ta'alluq qaaim rakhein.

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Aye naujawaano ki jamaat! tum mein jo nikaah karne ki taaqat rakhta ho, use chaahiye ke zaroor nikaah kar le, kyun ke woh nigaah aur sharmgaah ki hifaazat ka muassir zariya hai. (Bukhari: 5066)

Ek Hadees mein hai 3 Logon ki madad Allah Ta'ala ke zimme hai, un mein se ek shakhs woh hai, jo iffat wa paakdaamni yaani haraamkaari se bachne ke liye nikaah kare. (Tirmizi: 1655)

Share on: Telegram | WhatsApp